kabhi ek roz..
zindagi ke ek mod par tanhayi ka aalam hai
shaam ke aasmaan se baat karta hua ek bavra mann hai
aur baarish ki tez hawaon ne bhi
zindagi ke kuch purane paanon ko palat diya hai
par ek anjani si aarzo ki dastak se
dil-o-dimaag mein jang ka alam hai...
koi is ankahe sach ko jhutlata ..
to doosra sach ke naye raaste dikhata ..
na jang thamti dikhti thi
na mere askhon ki jhadhi
shayad zindagi mein jo socha tha woh galat tha
aur jo kuch paaya tha woh kho diya tha
yeh meri kismat kaho ya meri galtiyon ki sazza
talash thi ek jawab ki
jang rokne ke liye ek nayi shuruwat ki
lekin jis mod par aaj khada hoon
aage andhera gehra hai
peeche nakam hazraton ka janaza hai
nayi subah ki aarzoo mein neend ki talash hai
jabki yeh mujhe bhi khabar hai
ki ek lambi raat ki abhi to shuruwat hai...

1 Comments:
Aapne yeh likha ho na ho ..
yeh bahut hi sexy poem hai ..
keep the writing coming.
By
Anish, at 2:02 PM
Post a Comment
<< Home